Senpai heaven
Dewwaan-senpai heaven
Dewwaan-senpai heaven
Couldn't load pickup availability
Front
Is t-shirt ke front par ek DTF-printed panel hai jo Jiwani ke khoobsurat saahil ka sunset scene dikhata hai. Scene ke beech ek Deewan (gathering) hai — ek shaayar haath mein kitaab liye sher suna raha hai, aur uske aas paas Balochi qabail ke char log baith kar sun rahe hain. Shaayar ke paas ek mitti ka matka aur paani ka glass rakha hai, jo saadgi aur mehmaan-nawaazi ki nishani hai. Thoda door ek oont shaanti se rehta hai, jaise is manzar ki sakooniyat ka hissa ho.
Peeche ke background mein do Balochi bachay roti bana rahe hain — yeh ek chhoti si jhalak hai us virasat ki jo hamesha zinda hai. Panel ke upar Vshey ka lafz DTF print mein likha gaya hai — ek lafz jo care aur khairiyat ka paighaam hai. Collar ke neeche likha hai: “Kaya hast mani gham?” (Mera gham kaun uthata hai?) — yeh sher design ko aur zyada shayrana aur gehra bana deta hai.
Back
Back par ek DTF-printed full-panel artwork hai jo judaai aur yaadon ki kahani sunata hai. Design mein ek akela insaan nazar aata hai, jo apne oont ke saath door chala ja raha hai — peeche logon, samaan, aur yaadon ko chhod kar. Yeh tasveer aaj ke zamane ki dooriyon ka nishaan hai, jahan faslay sirf zameen ke nahi, dilon ke bhi hote hain.
Do alag-alag panels ke beech ka gap DTF ke zariye ek symbolic design se fill kiya gaya hai — ek visual metaphor rishton ko jodne, yaadon ko silne aur zindagi ke daagon ko heal karne ka. Niche “Deewan” ka lafz bhi DTF print mein hai, jo culture ke un mehfilon ki yaad dilata hai jahan log sher, kahaniyaan aur jazbaat share karte hain.




