Senpai heaven
Karachi seher - senpai heaven
Karachi seher - senpai heaven
Couldn't load pickup availability
Front
Yeh t-shirt sirf kapde aur print nahi hai… yeh Karachi ke dil ka safar hai. Meri photography aur is sheher ki rooh ka ek mel hai. Front par jo ladki scooter par hai, woh bas ek character nahi, woh un galiyon ka chehra hai jin par hum roz chalte hain, woh culture hai jo hum saans lete hain. Uske peeche ke photos ek waqt ke lamhe hain, jo freeze ho ke is design ka hissa ban gaye hain — jaise ek rangin patch. Neeche ka Ajrak pattern Sindh ke purane rishton ka zikr karta hai, aur us newspaper ke folds mein छुपा map sab kuch wapas iss sheher se jod deta hai… Karachi, jo hamesha chalti rehti hai, lekin apni jadon mein mazboot khadi hai.
Back
Peeche ka design Karachi ki dhadkan hai. Meri lens ne is sheher ki rooh capture ki hai — uske chaurahen, uski dukaanen, uski ankhon dekhi kahaniyan. Cycle par jo bacha hai, woh ek guzar jaane wala lamha hai… ek aisi masoomiyat ka nishaan jo hum kho dete hain, par hamesha dhoondhte rehte hain. Upar Jaun Elia ke alfaaz hawa mein tairte hain, jaise ek khamosh sa khayal jo is sheher ke shor ko shaayari mein lapet leta hai.
Yeh t-shirt sirf ek kapda nahi, ek canvas hai — Karachi ke naam ek love letter, un galiyon ke naam jinhon ne humein paala hai.






